KHud kisi sath pe aane mein baDa waqt laga
ḳhud kisī sat.h pe aane meñ baḌā vaqt lagā
apnī pahchān banāne meñ baḌā vaqt lagā
ḳhvāhish-e-dīd ke iz.hār meñ bhī der lagī
un ko bhī parda uThāne meñ baḌā vaqt lagā
ghar se hijrat pe nikal jaanā thā lamhoñ kā amal
phir kahīñ basne basāne meñ baḌā vaqt lagā
ta.aziyat kījiye ab vaqt-e-ayādat to gayā
aap aa.e magar aane meñ baḌā vaqt lagā
barq ne phūñk diyā thā jise ānan-fānan
us nasheman ko banāne meñ baḌā vaqt lagā
sā.at-e-aish ke armāñ kā natīja ma.alūm
ġham se dāman ko chhuḌāne meñ baḌā vaqt lagā
kaise hālāt kī daldal se nikalte ki 'vaqār'
paañv bhī ham ko jamāne meñ baḌā vaqt lagā
KHud kisi sath pe aane mein baDa waqt laga
apni pahchan banane mein baDa waqt laga
KHwahish-e-did ke izhaar mein bhi der lagi
un ko bhi parda uThane mein baDa waqt laga
ghar se hijrat pe nikal jaana tha lamhon ka amal
phir kahin basne basane mein baDa waqt laga
taziyat kijiye ab waqt-e-ayaadat to gaya
aap aae magar aane mein baDa waqt laga
barq ne phunk diya tha jise aanan-fanan
us nasheman ko banane mein baDa waqt laga
saat-e-aish ke arman ka natija malum
gham se daman ko chhuDane mein baDa waqt laga
kaise haalat ki daldal se nikalte ki 'waqar'
panw bhi hum ko jamane mein baDa waqt laga
- Book : Waqar-e-Hunar (Pg. 106)
- Author : Mohammad Zahiir
- Publication : Waqar Manvi, Sui walan, Darya Ganj, Delhi (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.