KHud ko badalna mushkil hoga
ḳhud ko badalnā mushkil hogā
rāsta chalnā mushkil hogā
bāhar bāhar pahre hoñge
ghar se nikalnā mushkil hogā
girnā to āsān hai lekin
gir ke sañbhalnā mushkil hogā
mazlūmoñ kī aah na lenā
phūlnā phalnā mushkil hogā
aag pe chalne kī lat Daalo
phuul pe chalnā mushkil hogā
kaalī roTī khāne vaalo
is kā nigalnā mushkil hogā
dil ko na koī rog lagāo
dil ko badalnā mushkil hogā
chhāñv se 'aḳhtar' dil na lagānā
dhuup meñ chalnā mushkil hogā
KHud ko badalna mushkil hoga
rasta chalna mushkil hoga
bahar bahar pahre honge
ghar se nikalna mushkil hoga
girna to aasan hai lekin
gir ke sanbhalna mushkil hoga
mazlumon ki aah na lena
phulna phalna mushkil hoga
aag pe chalne ki lat Dalo
phul pe chalna mushkil hoga
kali roTi khane walo
is ka nigalna mushkil hoga
dil ko na koi rog lagao
dil ko badalna mushkil hoga
chhanw se 'aKHtar' dil na lagana
dhup mein chalna mushkil hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.