KHud ko bana ke rakh uDana paDa hamein
ḳhud ko banā ke raakh uḌānā paḌā hameñ
yuuñ bhī kisī kā saath nibhānā paḌā hameñ
tārīkiyoñ kā daur thā so jo bhī mil gayā
us ko diyā banā ke jalānā paḌā hameñ
phir yuuñ huā ki ham ne use jaan kah diyā
phir yuuñ huā ki jaan se jaanā paḌā hameñ
mahsūs yuuñ huā ki jahannum meñ aa ga.e
jis moḌ par bhī hosh meñ aanā paḌā hameñ
so.e to zindagī kī haqīqat se kaT ga.e
jaage to apnā ḳhvāb gañvānā paḌā hameñ
hoñToñ se aah aah ko karnā paḌā judā
palkoñ se ashk ashk uThānā paḌā hameñ
KHud ko bana ke rakh uDana paDa hamein
yun bhi kisi ka sath nibhana paDa hamein
tarikiyon ka daur tha so jo bhi mil gaya
us ko diya bana ke jalana paDa hamein
phir yun hua ki hum ne use jaan kah diya
phir yun hua ki jaan se jaana paDa hamein
mahsus yun hua ki jahannum mein aa gae
jis moD par bhi hosh mein aana paDa hamein
soe to zindagi ki haqiqat se kaT gae
jage to apna KHwab ganwana paDa hamein
honTon se aah aah ko karna paDa juda
palkon se ashk ashk uThana paDa hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.