KHud ko baTta dekh raha hun
ḳhud ko baTtā dekh rahā huuñ
sab kā jhagḌā dekh rahā huuñ
ek ghaḌī ke gir jaane se
vaqt ko ruktā dekh rahā huuñ
tere ghar se jo aaya hai
us kā chehra dekh rahā huuñ
pāgal huuñ maiñ ḳharāb ghaḌī meñ
vaqt ko achchhā dekh rahā huuñ
koī merā rasta roko
maut kā rasta dekh rahā huuñ
KHud ko baTta dekh raha hun
sab ka jhagDa dekh raha hun
ek ghaDi ke gir jaane se
waqt ko rukta dekh raha hun
tere ghar se jo aaya hai
us ka chehra dekh raha hun
pagal hun main KHarab ghaDi mein
waqt ko achchha dekh raha hun
koi mera rasta roko
maut ka rasta dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.