KHud ko bhula ke hum unhen DhunDen magar kahan
ḳhud ko bhulā ke ham unheñ DhūñDeñ magar kahāñ
un kī nazar nazar hai hamārī nazar kahāñ
jaa.eñ tirī talāsh meñ shorīda-sar kahāñ
rahte haiñ apne haal se vo bā-ḳhabar kahāñ
āñchal kī sarsarāhaTeñ naġhma-navāz haiñ
saath un ke jā rahī hai nasīm-e-sahar kahāñ
bargashta aap kyā haiñ zamāna bhī hai ḳhilāf
ab ham guzāreñ zindagī-e-muḳhtasar kahāñ
misl-e-ġhubār rāh-e-talab ustuvār kar
sīkhā hai uḌtī ḳhaak ne azm-e-safar kahāñ
un mast-añkhḌiyoñ ke tasavvur meñ kho ga.e
ḳhud apne hosh meñ haiñ mire chārāgar kahāñ
pahlī sī rasm-o-rāh 'shabānā' nahīñ rahī
ham miT ga.e magar unheñ is kī ḳhabar kahāñ
KHud ko bhula ke hum unhen DhunDen magar kahan
un ki nazar nazar hai hamari nazar kahan
jaen teri talash mein shorida-sar kahan
rahte hain apne haal se wo ba-KHabar kahan
aanchal ki sarsarahaTen naghma-nawaz hain
sath un ke ja rahi hai nasim-e-sahar kahan
bargashta aap kya hain zamana bhi hai KHilaf
ab hum guzaren zindagi-e-muKHtasar kahan
misl-e-ghubar rah-e-talab ustuwar kar
sikha hai uDti KHak ne azm-e-safar kahan
un mast-ankhDiyon ke tasawwur mein kho gae
KHud apne hosh mein hain mere chaaragar kahan
pahli si rasm-o-rah 'shabana' nahin rahi
hum miT gae magar unhen is ki KHabar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.