KHud ko chhune se Dara karte hain
ḳhud ko chhūne se Darā karte haiñ
ham jo nīñdoñ meñ chalā karte haiñ
apnī hī zaat ke sahrā meñ aaj
log chup-chāp jalā karte haiñ
ḳhuun shiryānoñ meñ lahrātā hai
ḳhvāb āñkhoñ meñ hinsā karte haiñ
ham jahāñ baste the is bastī meñ
ab faqat saa.e milā karte haiñ
laḌkiyāñ hañstī guzar jaatī haiñ
ham samundar ko takā karte haiñ
aatī jaatī haiñ bahut sī yādeñ
dā.ere ban ke miTā karte haiñ
KHud ko chhune se Dara karte hain
hum jo nindon mein chala karte hain
apni hi zat ke sahra mein aaj
log chup-chap jala karte hain
KHun shiryanon mein lahraata hai
KHwab aankhon mein hinsa karte hain
hum jahan baste the is basti mein
ab faqat sae mila karte hain
laDkiyan hansti guzar jati hain
hum samundar ko taka karte hain
aati jati hain bahut si yaaden
daere ban ke miTa karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.