KHud ko DhunDo na yan wahan jaanan
ḳhud ko DhūñDo na yaañ vahāñ jānāñ
mere dil meñ ho jāvedāñ jānāñ
dil ko chaukhaT pe chhoḌ aayā huuñ
paañv rakhiyo na be-dhiyāñ jānāñ
ab bhī jalte haiñ mere siine par
tere qadmoñ ke kuchh nishāñ jānāñ
ik hasīñ yaad ban ke rah jaao
tum kahāñ aur maiñ kahāñ jānāñ
mujh ko tere badan meñ marnā hai
kar do bāñhoñ ko mehrbāñ jānāñ
arz-e-ġham par bhī vaah kartī ho
hāl-e-dil kab hai dāstāñ jānāñ
tujh ko chāhā to hijr ko paayā
is se baḌh kar ho kyā ziyāñ jānāñ
apnī nazreñ uThā ke dekh kabhī
kaise jiite haiñ tishnagāñ jānāñ
KHud ko DhunDo na yan wahan jaanan
mere dil mein ho jawedan jaanan
dil ko chaukhaT pe chhoD aaya hun
panw rakhiyo na be-dhiyan jaanan
ab bhi jalte hain mere sine par
tere qadmon ke kuchh nishan jaanan
ek hasin yaad ban ke rah jao
tum kahan aur main kahan jaanan
mujh ko tere badan mein marna hai
kar do banhon ko mehrban jaanan
arz-e-gham par bhi wah karti ho
haal-e-dil kab hai dastan jaanan
tujh ko chaha to hijr ko paya
is se baDh kar ho kya ziyan jaanan
apni nazren uTha ke dekh kabhi
kaise jite hain tishnagan jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.