KHud ko farhad karke dekh liya
ḳhud ko farhād karke dekh liyā
ishq ījād kar ke dekh liyā
āh-e-dil duur tak nahīñ jaatī
dil ne fariyād kar ke dekh liyā
ḳhud ko barbād kar ke dekhnā thā
ḳhud ko barbād kar ke dekh liyā
aaj phir tez ho ga.ī dhaḌkan
aaj phir yaad kar ke dekh liyā
sīna-e-shahr meñ hai vīrānī
shahr ābād kar ke dekh liyā
KHud ko farhad karke dekh liya
ishq ijad kar ke dekh liya
aah-e-dil dur tak nahin jati
dil ne fariyaad kar ke dekh liya
KHud ko barbaad kar ke dekhna tha
KHud ko barbaad kar ke dekh liya
aaj phir tez ho gai dhaDkan
aaj phir yaad kar ke dekh liya
sina-e-shahr mein hai virani
shahr aabaad kar ke dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.