KHud ko hum aazma ke dekhenge
ḳhud ko ham aazmā ke dekheñge
ya.anī tujh ko bhulā ke dekheñge
TūTtī kis tarah hai zabt kī had
dard meñ muskurā ke dekheñge
multafit tujh pe rah liye barsoñ
tujh se nazreñ churā ke dekheñge
vāhimoñ meñ haiñ kuchh nishāñ sach ke
terī āñkhoñ meñ aa ke dekheñge
paas ho ke bhī merā ho na sakā
ab tujhe ham gañvā ke dekheñge
tujh ko ilzām ham nahīñ deñge
zarf apnā baḌhā ke dekheñge
KHud ko hum aazma ke dekhenge
yani tujh ko bhula ke dekhenge
TuTti kis tarah hai zabt ki had
dard mein muskura ke dekhenge
multafit tujh pe rah liye barson
tujh se nazren chura ke dekhenge
wahimon mein hain kuchh nishan sach ke
teri aankhon mein aa ke dekhenge
pas ho ke bhi mera ho na saka
ab tujhe hum ganwa ke dekhenge
tujh ko ilzam hum nahin denge
zarf apna baDha ke dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.