KHud ko hum yun tabah kar lenge
ḳhud ko ham yuuñ tabāh kar leñge
ḳhūbsūrat gunāh kar leñge
tum na mil paa.e koī baat nahīñ
ranj-o-ġham se nibāh kar leñge
bandisheñ toḌ kar zamāne kī
ham mohabbat kī raah kar leñge
us kī āñkhoñ meñ Dūbne ke liye
apne dil se salāh kar leñge
saarī duniyā se ho ke be-parvā
us kī jānib nigāh kar leñge
ham ne aisā kabhī na sochā thā
ishq ham be-panāh kar leñge
KHud ko hum yun tabah kar lenge
KHubsurat gunah kar lenge
tum na mil pae koi baat nahin
ranj-o-gham se nibah kar lenge
bandishen toD kar zamane ki
hum mohabbat ki rah kar lenge
us ki aankhon mein Dubne ke liye
apne dil se salah kar lenge
sari duniya se ho ke be-parwa
us ki jaanib nigah kar lenge
hum ne aisa kabhi na socha tha
ishq hum be-panah kar lenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.