KHud ko har din nai turbat pe khaDa pate hain
ḳhud ko har din na.ī turbat pe khaḌā paate haiñ
ashk-e-ḳhūñ-rañg bhī ab ḳhatm hue chāhte haiñ
bazm-e-hastī meñ qayāmat kā samāñ lagtā hai
log uThte haiñ aur uThte hī chale jaate haiñ
dil ko hai tāb-o-tavāñ aur na āñkhoñ ko majāl
qadam uThte haiñ to pīchhe kī taraf aate haiñ
baat bantī nazar aatī nahīñ is aalam meñ
ab kisī aur hī duniyā kī havā khāte haiñ
hādisa ye hai ki mahbūb hameñ mil na sakā
aur pā sakte nahīñ vo jinheñ ham bhāte haiñ
ab kisī bū se lagāo nahīñ hotā ham ko
musht-e-ḳhāk-e-dar-e-sarkār uThā laate haiñ
KHud ko har din nai turbat pe khaDa pate hain
ashk-e-KHun-rang bhi ab KHatm hue chahte hain
bazm-e-hasti mein qayamat ka saman lagta hai
log uThte hain aur uThte hi chale jate hain
dil ko hai tab-o-tawan aur na aankhon ko majal
qadam uThte hain to pichhe ki taraf aate hain
baat banti nazar aati nahin is aalam mein
ab kisi aur hi duniya ki hawa khate hain
hadisa ye hai ki mahbub hamein mil na saka
aur pa sakte nahin wo jinhen hum bhate hain
ab kisi bu se lagao nahin hota hum ko
musht-e-KHak-e-dar-e-sarkar uTha late hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.