KHud ko is shahr mein tanha bhi nahin kah sakte
ḳhud ko is shahr meñ tanhā bhī nahīñ kah sakte
aur kisī shaḳhs ko apnā bhī nahīñ kah sakte
apnī qurbat meñ bhī tū ne hameñ pyāsā rakkhā
ham to dariyā tujhe dariyā bhī nahīñ kah sakte
kis ke sajdoñ meñ jhukeñ kis se du'ā.eñ māñgeñ
har kisī ko to masīhā bhī nahīñ kah sakte
gaañv meñ aaj bhī lagtā hai vo ghar hai apnā
us kī miTTī ko to malba bhī nahīñ kah sakte
zindagī ek tamāshā hai magar kyā kiije
is tamāshe ko tamāshā bhī nahīñ kah sakte
roz ā.īne meñ miltā hai na.e zaḳhm liye
ek chehra jise chehra bhī nahīñ kah sakte
KHud ko is shahr mein tanha bhi nahin kah sakte
aur kisi shaKHs ko apna bhi nahin kah sakte
apni qurbat mein bhi tu ne hamein pyasa rakkha
hum to dariya tujhe dariya bhi nahin kah sakte
kis ke sajdon mein jhuken kis se du'aen mangen
har kisi ko to masiha bhi nahin kah sakte
ganw mein aaj bhi lagta hai wo ghar hai apna
us ki miTTi ko to malba bhi nahin kah sakte
zindagi ek tamasha hai magar kya kije
is tamashe ko tamasha bhi nahin kah sakte
roz aaine mein milta hai nae zaKHm liye
ek chehra jise chehra bhi nahin kah sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.