KHud ko itna bhi mat bachaya kar
ḳhud ko itnā bhī mat bachāyā kar
bārisheñ hoñ to bhiig jaayā kar
kaam le kuchh hasīn hoñThoñ se
bātoñ bātoñ meñ muskurāyā kar
dard hiirā hai dard motī hai
dard āñkhoñ se mat bahāyā kar
chāñd lā kar koī nahīñ degā
apne chehre se jagmagāyā kar
dhuup māyūs lauT jaatī hai
chhat pe kapḌe sukhāne aayā kar
ghar se bāhar nikal havāoñ meñ
zulf se ḳhushbueñ uḌāyā kar
koī tasvīr koī afsānā
kuchh na kuchh roz hī banāyā kar
kaun kahtā hai dil milāne ko
kam se kam haath to milāyā kar
KHud ko itna bhi mat bachaya kar
barishen hon to bhig jaya kar
kaam le kuchh hasin honThon se
baaton baaton mein muskuraya kar
dard hira hai dard moti hai
dard aankhon se mat bahaya kar
chand la kar koi nahin dega
apne chehre se jagmagaya kar
dhup mayus lauT jati hai
chhat pe kapDe sukhane aaya kar
ghar se bahar nikal hawaon mein
zulf se KHushbuen uDaya kar
koi taswir koi afsana
kuchh na kuchh roz hi banaya kar
kaun kahta hai dil milane ko
kam se kam hath to milaya kar
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 91)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.