KHud ko itna bhi pasheman nahin karna tha
ḳhud ko itnā bhī pashemān nahīñ karnā thā
chand lamhoñ ko dil-o-jān nahīñ karnā thā
terī ḳhvāhish bhī na ho tujh se shikāyat bhī na ho
itnā ehsān mirī jaan nahīñ karnā thā
phir to honā hī thā ai 'ishq tamāshā-e-junūñ
hosh vāloñ ko nigahbān nahīñ karnā thā
itnī duurī thī to duurī kā bharam bhī rakhte
merī āñkhoñ ko shabistān nahīñ karnā thā
dar pe baiThe haiñ savālī ki ijāzat pāveñ
tum ko tāḳhīr kā sāmān nahīñ karnā thā
ham havāoñ se sadā bar-sar-e-paikār rahe
ab ye lagtā hai charāġhān nahīñ karnā thā
ek ummīd ke saa.e meñ guzārī 'ahmar'
is qadar 'umr pe ehsān nahīñ karnā thā
KHud ko itna bhi pasheman nahin karna tha
chand lamhon ko dil-o-jaan nahin karna tha
teri KHwahish bhi na ho tujh se shikayat bhi na ho
itna ehsan meri jaan nahin karna tha
phir to hona hi tha ai 'ishq tamasha-e-junun
hosh walon ko nigahban nahin karna tha
itni duri thi to duri ka bharam bhi rakhte
meri aankhon ko shabistan nahin karna tha
dar pe baiThe hain sawali ki ijazat pawen
tum ko taKHir ka saman nahin karna tha
hum hawaon se sada bar-sar-e-paikar rahe
ab ye lagta hai charaghan nahin karna tha
ek ummid ke sae mein guzari 'ahmar'
is qadar 'umr pe ehsan nahin karna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.