Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud ko itna bhi talabgar nahin karna tha

Elma Hashmi

KHud ko itna bhi talabgar nahin karna tha

Elma Hashmi

MORE BYElma Hashmi

    ḳhud ko itnā bhī talabgār nahīñ karnā thā

    baat karnī thī magar pyaar nahīñ karnā thā

    dekh ġhusse ne tujhe aaj fanā kar Daalā

    bas yahī kaam tujhe yaar nahīñ karnā thā

    vo to ḳhud mire sāmne aayā varna

    yaar mujh ko tirā dīdār nahīñ karnā thā

    is meñ aa jaate haiñ ab dekh le aire-ġhaire

    apne dil ko tujhe bāzār nahīñ karnā thā

    us ne pūchhā thā tumheñ mujh se mohabbat hai

    aise mauqa' pe to inkār nahīñ karnā thā

    is qadar marne se Darnā bhī nahīñ thā ham ko

    is qadar jiinā bhī dushvār nahīñ karnā thā

    KHud ko itna bhi talabgar nahin karna tha

    baat karni thi magar pyar nahin karna tha

    dekh ghusse ne tujhe aaj fana kar Dala

    bas yahi kaam tujhe yar nahin karna tha

    wo to tu KHud hi mere samne aaya warna

    yar mujh ko tera didar nahin karna tha

    is mein aa jate hain ab dekh le aire-ghaire

    apne dil ko tujhe bazar nahin karna tha

    us ne puchha tha tumhein mujh se mohabbat hai na

    aise mauqa' pe to inkar nahin karna tha

    is qadar marne se Darna bhi nahin tha hum ko

    is qadar jina bhi dushwar nahin karna tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now