KHud ko jab tere muqabil paya
ḳhud ko jab tere muqābil paayā
apnī pahchān kā lamha aayā
aks-dar-aks the rañgoñ ke charāġh
maiñ ne miTTī kā diyā apnāyā
ek pal ek sadī par bhārī
soch par aisā bhī lamha aayā
paañv chhalnī to vafā ghā.il thī
jaane us moḌ pe kyā yaad aayā
ek lamhe ke tabassum kā fusūñ
jaañ se guzre to samajh meñ aayā
KHud ko jab tere muqabil paya
apni pahchan ka lamha aaya
aks-dar-aks the rangon ke charagh
main ne miTTi ka diya apnaya
ek pal ek sadi par bhaari
soch par aisa bhi lamha aaya
panw chhalni to wafa ghail thi
jaane us moD pe kya yaad aaya
ek lamhe ke tabassum ka fusun
jaan se guzre to samajh mein aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.