KHud ko jis ke liye bhulati hun
ḳhud ko jis ke liye bhulātī huuñ
kyā use bhī maiñ yaad aatī huuñ
us kā chehra kitāb jaisā hai
roz paḌhtī huuñ muskurātī huuñ
vaise āñkheñ udaas rahtī haiñ
dekh kar us ko jagmagātī huuñ
jāntī huuñ havā miTā degī
maiñ gharauñde magar banātī huuñ
ghar kī dīvār hai sakhī merī
maiñ usī se gapeñ laḌātī huuñ
aap aḳhbār dekhiye tab tak
maiñ abhī chaa.e le kar aatī huuñ
sāmne apne aa.ina rakh kar
roz apnī hañsī uḌātī huuñ
vo mirā e'tibār hai 'raḳhshāñ'
jis se aksar fareb khātī huuñ
KHud ko jis ke liye bhulati hun
kya use bhi main yaad aati hun
us ka chehra kitab jaisa hai
roz paDhti hun muskuraati hun
waise aankhen udas rahti hain
dekh kar us ko jagmagati hun
jaanti hun hawa miTa degi
main gharaunde magar banati hun
ghar ki diwar hai sakhi meri
main usi se gapen laDati hun
aap aKHbar dekhiye tab tak
main abhi chae le kar aati hun
samne apne aaina rakh kar
roz apni hansi uDati hun
wo mera e'tibar hai 'raKHshan'
jis se aksar fareb khati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.