KHud ko KHud se abhi milana hai
ḳhud ko ḳhud se abhī milānā hai
maiñ huuñ zinda mujhe batānā hai
aur uljhāo na mujhe ab tum
rāste mujh ko ghar bhī jaanā hai
vo gharauñdā to bah gayā kab kā
dasht hī ab mirā Thikānā hai
naam miTtā nahīñ tirā dil se
ab batā kaise ye miTānā hai
raakh karnā hai yaad ko terī
ban ke dariyā use bahānā hai
ruuTh kar baiThe haiñ galī kūche
aaj un ko mujhe manānā hai
saañs bharī hai lag rahī 'rāhī'
sañg is par se bhī haTānā hai
KHud ko KHud se abhi milana hai
main hun zinda mujhe batana hai
aur uljhao na mujhe ab tum
raste mujh ko ghar bhi jaana hai
wo gharaunda to bah gaya kab ka
dasht hi ab mera Thikana hai
nam miTta nahin tera dil se
ab bata kaise ye miTana hai
rakh karna hai yaad ko teri
ban ke dariya use bahana hai
ruTh kar baiThe hain gali kuche
aaj un ko mujhe manana hai
sans bhari hai lag rahi 'rahi'
sang is par se bhi haTana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.