KHud ko KHudi ka aaina dikhla raha hun main
ḳhud ko ḳhudī kā aa.ina dikhlā rahā huuñ maiñ
apnā harīf aap banā jā rahā huuñ maiñ
qismat kī pastiyoñ kī hadeñ ḳhatm ho chukīñ
ab rif.atoñ kī samt uḌā jā rahā huuñ maiñ
nākām-e-ārzū huuñ magar uf yaqīn-e-ishq
dānista phir fareb-e-vafā khā rahā huuñ
mohar-e-sukūt-e-lab pe hai bahke hue qadam
ai be-ḳhudī phir aaj kidhar jā rahā huuñ maiñ
phir dekhtā huuñ chehra-e-māzī ke ḳhadd-o-ḳhāl
saaqī sambhāl hosh meñ phir aa rahā huuñ maiñ
ruk jaa.e jis ke shor se dasht-o-jabal kī saañs
us sail-e-ranj-o-ġham meñ bahā jā rahā huuñ maiñ
jaane ko huuñ ahāta-e-ālam se dūr-tar
bas chand roz tum ko nazar aa rahā huuñ maiñ
shams-o-qamar haiñ raah meñ zarrāt kī tarah
kis kī tajalliyoñ meñ ghirā jā rahā huuñ maiñ
thā jo ḳhayāl terī jafāoñ se peshtar
dil ko usī ḳhayāl se bahlā rahā huuñ maiñ
baḌh baḌh ke 'raaj mere qadam le rahī hai maut
kis zindagī kī samt baḌhā jā rahā huuñ maiñ
KHud ko KHudi ka aaina dikhla raha hun main
apna harif aap bana ja raha hun main
qismat ki pastiyon ki haden KHatm ho chukin
ab rifaton ki samt uDa ja raha hun main
nakaam-e-arzu hun magar uf yaqin-e-ishq
danista phir fareb-e-wafa kha raha hun
mohar-e-sukut-e-lab pe hai bahke hue qadam
ai be-KHudi phir aaj kidhar ja raha hun main
phir dekhta hun chehra-e-mazi ke KHadd-o-KHal
saqi sambhaal hosh mein phir aa raha hun main
ruk jae jis ke shor se dasht-o-jabal ki sans
us sail-e-ranj-o-gham mein baha ja raha hun main
jaane ko hun ahata-e-alam se dur-tar
bas chand roz tum ko nazar aa raha hun main
shams-o-qamar hain rah mein zarraat ki tarah
kis ki tajalliyon mein ghira ja raha hun main
tha jo KHayal teri jafaon se peshtar
dil ko usi KHayal se bahla raha hun main
baDh baDh ke 'raj mere qadam le rahi hai maut
kis zindagi ki samt baDha ja raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.