KHud ko kisi ki rahguzar kis liye karen
ḳhud ko kisī kī rāhguzar kis liye kareñ
tū ham-safar nahīñ to safar kis liye kareñ
jab tū ne hī nigāh meñ rakkhā nahīñ hameñ
ab aur kisī kī ruuh meñ ghar kis liye kareñ
kyuuñ chhoḌ deñ na shaam se pahle hī terā shahr
tujh se bichhaḌ ke raat basar kis liye kareñ
mansūb-e-jāñ ho aur koī paikar-e-jamāl
kar sakte haiñ ye kaam magar kis liye kareñ
kis ke liye charāġh jalā.eñ tamām raat
'nāsik' phir ehtimām-e-sahar kis liye kareñ
KHud ko kisi ki rahguzar kis liye karen
tu ham-safar nahin to safar kis liye karen
jab tu ne hi nigah mein rakkha nahin hamein
ab aur kisi ki ruh mein ghar kis liye karen
kyun chhoD den na sham se pahle hi tera shahr
tujh se bichhaD ke raat basar kis liye karen
mansub-e-jaan ho aur koi paikar-e-jamal
kar sakte hain ye kaam magar kis liye karen
kis ke liye charagh jalaen tamam raat
'nasik' phir ehtimam-e-sahar kis liye karen
- Book : Adab-o-Saqafat International (Pg. 63)
- Author : Shakeelsarosh
- Publication : Misal Publishers Raheem Center Press Market Ameen Pur Bazar, Faisalbad, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.