KHud ko kitna chhoTa karna paDta hai
ḳhud ko kitnā chhoTā karnā paḌtā hai
beTe se samjhauta karnā paḌtā hai
jab aulādeñ nālā.eq ho jaatī haiñ
apne uupar ġhussa karnā paḌtā hai
sachchā.ī ko apnānā āsān nahīñ
duniyā bhar se jhagḌā karnā paḌtā hai
jab saare ke saare hī be-parda hoñ
aise meñ ḳhud parda karnā paḌtā hai
pyāsoñ kī bastī meñ sho.ale bhaḌkā kar
phir paanī ko mahñgā karnā paḌtā hai
hañs kar apne chehre kī har silvaT par
shīshe ko sharminda karnā paḌtā hai
KHud ko kitna chhoTa karna paDta hai
beTe se samjhauta karna paDta hai
jab auladen nalaeq ho jati hain
apne upar ghussa karna paDta hai
sachchai ko apnana aasan nahin
duniya bhar se jhagDa karna paDta hai
jab sare ke sare hi be-parda hon
aise mein KHud parda karna paDta hai
pyason ki basti mein shoale bhaDka kar
phir pani ko mahnga karna paDta hai
hans kar apne chehre ki har silwaT par
shishe ko sharminda karna paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.