KHud ko majnun kabhi farhad kiya hai maine
ḳhud ko majnūñ kabhī farhād kiyā hai maiñ ne
vaqt apnā baḌā barbād kiyā hai maiñ ne
kaam ye bhī mire sayyād kiyā hai maiñ ne
ḳhauf dil se tirā āzād kiyā hai maiñ ne
ek patthar-sifat insāñ se mohabbat kar ke
ai ġham-e-dil tujhe ījād kiyā hai maiñ ne
shāḳh-e-dil par tirī yādoñ kā baserā kyoñ hai
in parindoñ ko to āzād kiyā hai maiñ ne
yuuñ khilāyā hai tire dil meñ mohabbat kā gulāb
dasht jaise koī ābād kiyā hai maiñ ne
ik ibādat se kahāñ kam hai mohabbat merī
tujh ko aayat kī tarah yaad kiyā hai maiñ ne
tujh ko duniyā ke tamāshoñ se bachāne ke liye
jaane kyā kyā mirī aulād kiyā hai maiñ ne
hukmrānī pe jise naaz bahut thā 'ḳhālid'
us ko āmāda-e-fariyād kiyā hai maiñ ne
KHud ko majnun kabhi farhad kiya hai main ne
waqt apna baDa barbaad kiya hai main ne
kaam ye bhi mere sayyaad kiya hai main ne
KHauf dil se tera aazad kiya hai main ne
ek patthar-sifat insan se mohabbat kar ke
ai gham-e-dil tujhe ijad kiya hai main ne
shaKH-e-dil par teri yaadon ka basera kyon hai
in parindon ko to aazad kiya hai main ne
yun khilaya hai tere dil mein mohabbat ka gulab
dasht jaise koi aabaad kiya hai main ne
ek ibaadat se kahan kam hai mohabbat meri
tujh ko aayat ki tarah yaad kiya hai main ne
tujh ko duniya ke tamashon se bachane ke liye
jaane kya kya meri aulad kiya hai main ne
hukmrani pe jise naz bahut tha 'KHalid'
us ko aamada-e-fariyaad kiya hai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.