KHud ko masruf-e-ibaadat kar diya
ḳhud ko masrūf-e-ibādat kar diyā
hasratoñ ko dil se ruḳhsat kar diyā
ho ga.iiñ āsān saarī manzileñ
dil ko pāband-e-sharī.at kar diyā
tujh se pahle merī qīmat kuchh na thī
tū ne mujh ko besh-qīmat kar diyā
muflisī meñ thī muravvat dosto
māl-o-zar ne be-muravvat kar diyā
dard ban kar zindagī ne ek din
rāhatoñ ko ghar se ruḳhsat kar diyā
KHud ko masruf-e-ibaadat kar diya
hasraton ko dil se ruKHsat kar diya
ho gain aasan sari manzilen
dil ko paband-e-shariat kar diya
tujh se pahle meri qimat kuchh na thi
tu ne mujh ko besh-qimat kar diya
muflisi mein thi murawwat dosto
mal-o-zar ne be-murawwat kar diya
dard ban kar zindagi ne ek din
rahaton ko ghar se ruKHsat kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.