KHud ko pane ki faqat hum justuju karte rahe
ḳhud ko paane kī faqat ham justujū karte rahe
sang rāh-e-ma.arifat ke suraḳh-rū karte rahe
dekh kar vīrānī-e-mai-ḳhāna-o-dair-o-haram
kāsa-e-ġhairat ko ham jām-o-subū karte rahe
roz khilte the umīdoñ ke na.e ġhunche magar
yaas ke mausam unheñ be-rañg-o-bū karte rahe
Duub hī jā.eñge ik din vaqt ke sailāb meñ
be-ḳhabar hālāt se jo hā-o-hū karte rahe
ārzūeñ jāñ-ba-lab thiiñ tishnagī kī dhuup meñ
is liye ham apnī āñkheñ āb-jū karte rahe
kar liyā hotā tayammum hī agar paanī na thā
ishq thā kār-e-ibādat be-vuzū karte rahe
jhiil ke paanī meñ vo ubhrā huā ik aks thā
umr bhar chhūne kī us ko aarzū karte rahe
naqsh-e-pā 'ash.har' buzurgoñ ke jahāñ raushan mile
der tak un rāstoñ se guftugū karte rahe
KHud ko pane ki faqat hum justuju karte rahe
sang rah-e-marifat ke suraKH-ru karte rahe
dekh kar virani-e-mai-KHana-o-dair-o-haram
kasa-e-ghairat ko hum jam-o-subu karte rahe
roz khilte the umidon ke nae ghunche magar
yas ke mausam unhen be-rang-o-bu karte rahe
Dub hi jaenge ek din waqt ke sailab mein
be-KHabar haalat se jo ha-o-hu karte rahe
aarzuen jaan-ba-lab thin tishnagi ki dhup mein
is liye hum apni aankhen aab-ju karte rahe
kar liya hota tayammum hi agar pani na tha
ishq tha kar-e-ibaadat be-wuzu karte rahe
jhil ke pani mein wo ubhra hua ek aks tha
umr bhar chhune ki us ko aarzu karte rahe
naqsh-e-pa 'ashhar' buzurgon ke jahan raushan mile
der tak un raston se guftugu karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.