KHud ko pane ki hum koshishon mein rahe
ḳhud ko paane kī ham koshishoñ meñ rahe
zindagī ke na.e tajraboñ meñ rahe
rishta-e-dard ke dā.eroñ meñ rahe
dostoñ kī tarah dushmanoñ meñ rahe
jo badalte rahe haiñ zamāne kā ruḳh
hādsoñ meñ pale hādsoñ meñ rahe
ham na.ī shā'irī kī baqā ke liye
fikr ke munfarid zāviyoñ meñ rahe
ham anā kī hifāzat kī ḳhātir sadā
apne ehsās kī sarhadoñ meñ rahe
kaisī kaisī umīdeñ lahū ho ga.iiñ
mubtalā jo ġhalat-fahmiyoñ meñ rahe
vaqt kī sāzishoñ se rahe bā-ḳhabar
vo abābīl jo maqbaroñ meñ rahe
amn-e-'ālam meñ vo Dālte haiñ ḳhalal
ho ke mā'tūb jo jangaloñ meñ rahe
KHud ko pane ki hum koshishon mein rahe
zindagi ke nae tajrabon mein rahe
rishta-e-dard ke daeron mein rahe
doston ki tarah dushmanon mein rahe
jo badalte rahe hain zamane ka ruKH
hadson mein pale hadson mein rahe
hum nai sha'iri ki baqa ke liye
fikr ke munfarid zawiyon mein rahe
hum ana ki hifazat ki KHatir sada
apne ehsas ki sarhadon mein rahe
kaisi kaisi umiden lahu ho gain
mubtala jo ghalat-fahmiyon mein rahe
waqt ki sazishon se rahe ba-KHabar
wo ababil jo maqbaron mein rahe
amn-e-'alam mein wo Dalte hain KHalal
ho ke ma'tub jo jangalon mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.