KHud ko pahron thakati hun main
ḳhud ko pahroñ thakātī huuñ maiñ
yaad ke but banātī huuñ maiñ
dhyān haTtā nahīñ hai mirā
dhyān tujh se haTātī huuñ maiñ
kaun tere sivā hai mirā
tujh ko apnā banātī huuñ maiñ
jab mujhe yaad aatā hai vo
do-jahāñ bhuul jaatī huuñ maiñ
ḳhvāb hai terī chāhat mujhe
ḳhvāb ḳhud ko dikhātī huuñ maiñ
jal rahā hai diye se diyā
bāñTtī huuñ to paatī huuñ maiñ
aaj nau saal puure hue
apnī vahshat manātī huuñ maiñ
vaah vā kī zarūrat nahīñ
zaḳhm likh kar dikhātī huuñ maiñ
KHud ko pahron thakati hun main
yaad ke but banati hun main
dhyan haTta nahin hai mera
dhyan tujh se haTati hun main
kaun tere siwa hai mera
tujh ko apna banati hun main
jab mujhe yaad aata hai wo
do-jahan bhul jati hun main
KHwab hai teri chahat mujhe
KHwab KHud ko dikhati hun main
jal raha hai diye se diya
banTti hun to pati hun main
aaj nau sal pure hue
apni wahshat manati hun main
wah wa ki zarurat nahin
zaKHm likh kar dikhati hun main
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.