KHud ko sameTne mein thi itni agar-magar
ḳhud ko sameTne meñ thī itnī agar-magar
bikhrā paḌā huuñ aaj bhī tere idhar-udhar
apnī kamī se kah do ki shiddat se to rahe
dekho ki rah na jaa.e kahīñ kuchh kasar-vasar
ik roz tum bhī to zarā ḳhud se nikal milo
tai kar liye haiñ maiñ ne to saare safar-vafar
nafrat tirī yā pyaar ho ġham ho sharāb ho
mumkin nahīñ hai thoḌe meñ apnī guzar-basar
tū kyā ga.ī maiñ ho gayā huuñ saḳht-jān maañ
lagtī nahīñ hai ab to mujhe kuchh nazar-vazar
muddat se kuchh bhī to terī chaltī nahīñ ḳhudā
rakkhā tū kar jahān kī bhī kuchh ḳhabar-vabar
bas ishq kā hai maarā to kuchh sher kah diye
varna hai ‘āshnā’ meñ kahāñ kuchh hunar-vunar
KHud ko sameTne mein thi itni agar-magar
bikhra paDa hun aaj bhi tere idhar-udhar
apni kami se kah do ki shiddat se to rahe
dekho ki rah na jae kahin kuchh kasar-wasar
ek roz tum bhi to zara KHud se nikal milo
tai kar liye hain main ne to sare safar-wafar
nafrat teri ya pyar ho gham ho sharab ho
mumkin nahin hai thoDe mein apni guzar-basar
tu kya gai main ho gaya hun saKHt-jaan man
lagti nahin hai ab to mujhe kuchh nazar-wazar
muddat se kuchh bhi to teri chalti nahin KHuda
rakkha tu kar jahan ki bhi kuchh KHabar-wabar
bas ishq ka hai mara to kuchh sher kah diye
warna hai ‘ashna’ mein kahan kuchh hunar-wunar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.