Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud ko sanwar lene ki hajat use bhi thi

Ajmal Abullais

KHud ko sanwar lene ki hajat use bhi thi

Ajmal Abullais

MORE BYAjmal Abullais

    ḳhud ko sañvār lene hājat use bhī thī

    shāyad ki rang-o-bū zarūrat use bhī thī

    majbūriyoñ ne kar diyā pāband kuchh use

    rasm-e-vafā nibhāne chāhat use bhī thī

    dil toḌ kar hamārā chalā to gayā magar

    nākām hasratoñ nadāmat use bhī thī

    yuuñ pher nigāh ki pahchāntā na ho

    kitnī shadīd mujh se rifāqat use bhī thī

    kis ke ḳhayāl-o-ḳhvāb dahlīz par sadā

    har shab guzārne ijāzat use bhī thī

    kirdār bulandī vo bhī hai mo'tarif

    maanā ki terī zaat se vahshat use bhī thī

    garche anā-parast vo 'ajmal' balā hai

    bebākiyoñ pe merī to hairat use bhī thī

    KHud ko sanwar lene ki hajat use bhi thi

    shayad ki rang-o-bu ki zarurat use bhi thi

    majburiyon ne kar diya paband kuchh use

    rasm-e-wafa nibhane ki chahat use bhi thi

    dil toD kar hamara chala to gaya magar

    nakaam hasraton ki nadamat use bhi thi

    yun pher li nigah ki pahchanta na ho

    kitni shadid mujh se rifaqat use bhi thi

    kis ke KHayal-o-KHwab ki dahliz par sada

    har shab guzarne ki ijazat use bhi thi

    kirdar ki bulandi ka wo bhi hai mo'tarif

    mana ki teri zat se wahshat use bhi thi

    garche ana-parast wo 'ajmal' bala ka hai

    bebakiyon pe meri to hairat use bhi thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now