KHud ko sharar shumar kiya aur jal bujhe
ḳhud ko sharar shumār kiyā aur jal bujhe
ik shola-ruḳh se pyaar kiyā aur jal bujhe
ik raat meñ simaT ga.ī kul umr-e-ārzū
ik umr intizār kiyā aur jal bujhe
pichhle janam kī raakh se le kar nayā janam
phir raakh ko sharār kiyā aur jal bujhe
ham bhī nasīb se jo sitāra-nasīb the
sūraj kā intizār kiyā aur jal bujhe
ham raushni-e-tabā se shola-faroz the
har tīrgī pe vaar kiyā aur jal bujhe
KHud ko sharar shumar kiya aur jal bujhe
ek shola-ruKH se pyar kiya aur jal bujhe
ek raat mein simaT gai kul umr-e-arzu
ek umr intizar kiya aur jal bujhe
pichhle janam ki rakh se le kar naya janam
phir rakh ko sharar kiya aur jal bujhe
hum bhi nasib se jo sitara-nasib the
suraj ka intizar kiya aur jal bujhe
hum raushni-e-taba se shola-faroz the
har tirgi pe war kiya aur jal bujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.