ḳhud ko sharminda-e-be-dād kiyā hai kis ne
aaj bhūle se mujhe yaad kiyā hai kis ne
kis ne pahlū meñ ye āhista se chuTkī lī hai
dil ko majbūr ba-fariyād kiyā hai kis ne
zindagī ko to samajhtā huuñ maiñ ik jaur-e-azīm
kyā ḳhabar ye sitam ījād kiyā hai kis ne
hai jo ehsān to kuchh hasrat jāved kā hai
varna pās-e-dil-e-nāshād kiyā hai kis ne
daad har samt se miltī hai 'munavvar' ko bajā
itnā ūñchā sar-e-ajdād kiyā hai kis ne
KHud ko sharminda-e-be-dad kiya hai kis ne
aaj bhule se mujhe yaad kiya hai kis ne
kis ne pahlu mein ye aahista se chuTki li hai
dil ko majbur ba-fariyaad kiya hai kis ne
zindagi ko to samajhta hun main ek jaur-e-azim
kya KHabar ye sitam ijad kiya hai kis ne
hai jo ehsan to kuchh hasrat jawed ka hai
warna pas-e-dil-e-nashad kiya hai kis ne
dad har samt se milti hai 'munawwar' ko baja
itna uncha sar-e-ajdad kiya hai kis ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.