KHud ko tanhai mein ghairon ki nazar se dekho
ḳhud ko tanhā.ī meñ ġhairoñ kī nazar se dekho
apnā ghar duur bhī ho kar kabhī ghar se dekho
maañd paḌ jā.eñge ik roz ye chehre ke nuqūsh
aa.ina dekho to ibrat kī nazar se dekho
achchhī nazroñ kā to hotā hai asar bhī achchhā
aib dekho jo kisī kā to hunar se dekho
kitnī kāvish se jilā de ke sañvārā hogā
aa.ine ko nigah-e-ā.ina-gar se dekho
koī pahlū bhī samajh meñ nahīñ aatā us kā
zindagī ek muamma hai jidhar se dekho
ḳhush na ho dekh ke dushman pe bhī aafat kī ghaTā
sar pe apne na kahīñ TuuT ke barse dekho
ye ġhalat hai ki nahīñ hai koī sunñe vaalā
kitnī mahrūm hai fariyād asar se dekho
kyā kaheñ phir koī sīñchī ga.ī maqtal kī zamīñ
bū-e-ḳhūñ le ke sabā aa.ī kidhar se dekho
har shab-e-tār ke dāman meñ ujāle bhar do
har añdhere ko charāġhoñ kī nazar se dekho
daaġh hī daaġh ho aisā to nahīñ hai 'nātiq'
aadmī saaf jidhar se ho udhar se dekho
KHud ko tanhai mein ghairon ki nazar se dekho
apna ghar dur bhi ho kar kabhi ghar se dekho
mand paD jaenge ek roz ye chehre ke nuqush
aaina dekho to ibrat ki nazar se dekho
achchhi nazron ka to hota hai asar bhi achchha
aib dekho jo kisi ka to hunar se dekho
kitni kawish se jila de ke sanwara hoga
aaine ko nigah-e-aina-gar se dekho
koi pahlu bhi samajh mein nahin aata us ka
zindagi ek muamma hai jidhar se dekho
KHush na ho dekh ke dushman pe bhi aafat ki ghaTa
sar pe apne na kahin TuT ke barse dekho
ye ghalat hai ki nahin hai koi sunne wala
kitni mahrum hai fariyaad asar se dekho
kya kahen phir koi sinchi gai maqtal ki zamin
bu-e-KHun le ke saba aai kidhar se dekho
har shab-e-tar ke daman mein ujale bhar do
har andhere ko charaghon ki nazar se dekho
dagh hi dagh ho aisa to nahin hai 'natiq'
aadmi saf jidhar se ho udhar se dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.