KHud ko ummid ki nagri mein uTha le jao
ḳhud ko ummīd kī nagrī meñ uThā le jaao
niiñd ke kūche se kuchh ḳhvāb churā le jaao
apnā kirdār har ik vaqt sañbhāle jaao
ham buzurgoñ kī bhī thoḌī sī du'ā le jaao
jab chale aa.e ho is shahr-e-siyah-kār meñ tum
'aib har shaḳhs ke siine meñ chhupā le jaao
ḳhair kī raah dikhāte raho tūfānoñ ko
biphrī maujoñ ko bhī us samt bahā le jaao
ek lamhe meñ pighal jā.eñge patthar 'mohsin'
un pe tum apnī vafāoñ kī ghaTā le jaao
KHud ko ummid ki nagri mein uTha le jao
nind ke kuche se kuchh KHwab chura le jao
apna kirdar har ek waqt sanbhaale jao
hum buzurgon ki bhi thoDi si du'a le jao
jab chale aae ho is shahr-e-siyah-kar mein tum
'aib har shaKHs ke sine mein chhupa le jao
KHair ki rah dikhate raho tufanon ko
biphri maujon ko bhi us samt baha le jao
ek lamhe mein pighal jaenge patthar 'mohsin'
un pe tum apni wafaon ki ghaTa le jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.