KHud ko zinda rakhne ka sangharsh hai ye
ḳhud ko zinda rakhne kā sañgharsh hai ye
jīvan kā har pal jaise ik varsh hai ye
soch kā panchhī jab bhī uḌāneñ bhartā hai
vaqt paTaḳh kar kah detā hai farsh hai ye
merī ġhazleñ kyā haiñ merā ā.īna
misrā misrā jīvan kā ādarsh hai ye
kal shab chalte chalte kahāñ tak jā pahuñchā
chīḳh rahā thā mujh par koī arsh hai ye
dekh ke ā.īna lagtā hai ye 'afroz'
maiñ huuñ yā phir zaḳhmoñ kā sparsh hai ye
KHud ko zinda rakhne ka sangharsh hai ye
jiwan ka har pal jaise ek warsh hai ye
soch ka panchhi jab bhi uDanen bharta hai
waqt paTaKH kar kah deta hai farsh hai ye
meri ghazlen kya hain mera aaina
misra misra jiwan ka aadarsh hai ye
kal shab chalte chalte kahan tak ja pahuncha
chiKH raha tha mujh par koi arsh hai ye
dekh ke aaina lagta hai ye 'afroz'
main hun ya phir zaKHmon ka sparsh hai ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.