KHud mein hi Dubti ubharti hun
ḳhud meñ hī Dūbtī ubhartī huuñ
jaane kis ko talāsh kartī huuñ
dil meñ jiine kī aarzū le kar
maiñ ka.ī baar roz martī huuñ
bhar na jaa.e ye zaḳhm ai dil merā
is liye chheḌ-chhāḌ kartī huuñ
tum yuuñ hī aa.ina bane rahnā
maiñ tumheñ dekh kar sañvartī huuñ
ḳhāmushī mujh ko raas aatī hai
is liye toḌne se Dartī huuñ
bhāgtī huuñ vajūd se apne
aur kabhī ḳhud hī ḳhud pe martī huuñ
kyuuñ yahāñ huuñ kahāñ hai ab jaanā
ḳhud se aksar savāl kartī huuñ
maiñ gurezāñ huuñ ḳhud se kuchh aise
apne saa.e se bhī mukartī huuñ
us kī tasvīr meñ 'suman' aksar
maiñ vafāoñ ke rañg bhartī huuñ
KHud mein hi Dubti ubharti hun
jaane kis ko talash karti hun
dil mein jine ki aarzu le kar
main kai bar roz marti hun
bhar na jae ye zaKHm ai dil mera
is liye chheD-chhaD karti hun
tum yun hi aaina bane rahna
main tumhein dekh kar sanwarti hun
KHamushi mujh ko ras aati hai
is liye toDne se Darti hun
bhagti hun wajud se apne
aur kabhi KHud hi KHud pe marti hun
kyun yahan hun kahan hai ab jaana
KHud se aksar sawal karti hun
main gurezan hun KHud se kuchh aise
apne sae se bhi mukarti hun
us ki taswir mein 'suman' aksar
main wafaon ke rang bharti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.