Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud mein ek aaftab the abdurrashid lone

Ahmed Arsalan

KHud mein ek aaftab the abdurrashid lone

Ahmed Arsalan

MORE BYAhmed Arsalan

    ḳhud meñ ik āftāb the abdurrashīd lone

    yaanī khulī kitāb the abdurrashīd lone

    jis vo jaate ḳhushbū luTānā kaam thā

    mahkā huā gulāb the abdurrashīd lone

    kyā kahiye ham ko ham ne na gauhar qadr

    jab tak ki dastiyāb the abdurrashīd lone

    jis zāviye se dekhiye aayā hameñ nazar

    har ruḳh se kāmyāb the abdurrashīd lone

    aatā nahīñ samajh meñ jo paḌhne ke bāvajūd

    ulfat vo nisāb the abdurrashīd lone

    tābīr-e-ḳhvāb jis batlā na sakā koī

    aisā ek ḳhvāb the abdurrashīd lone

    un ko ḳhudā ne baḳhshā thā aisā hunar ki sab

    kahte haiñ lā-javāb the abdurrashīd lone

    jab bhī paḌheñge ma.anī nayā de hameñ koī

    aisā ek baab the abdurrashīd lone

    vaqt-e-vidā.a kalima-e-tayyab zabāñ pe thā

    maqsad meñ kāmyāb the abdurrashīd lone

    majlis meñ sab hotī thī 'ahmad' zabān band

    rakhte har ik javāb the abdurrashīd lone

    KHud mein ek aaftab the abdurrashid lone

    yani khuli kitab the abdurrashid lone

    jis ja wo jate KHushbu luTana hi kaam tha

    mahka hua gulab the abdurrashid lone

    kya kahiye hum ko hum ne na gauhar ki qadr ki

    jab tak ki dastiyab the abdurrashid lone

    jis zawiye se dekhiye aaya hamein nazar

    har ruKH se kaamyab the abdurrashid lone

    aata nahin samajh mein jo paDhne ke bawajud

    ulfat ka wo nisab the abdurrashid lone

    tabir-e-KHwab jis ki batla na saka koi

    aisa hi ek KHwab the abdurrashid lone

    un ko KHuda ne baKHsha tha aisa hunar ki sab

    kahte hain la-jawab the abdurrashid lone

    jab bhi paDhenge mani naya de hamein koi

    aisa hi ek bab the abdurrashid lone

    waqt-e-widaa kalima-e-tayyab zaban pe tha

    maqsad mein kaamyab the abdurrashid lone

    majlis mein sab ki hoti thi 'ahmad' zaban band

    rakhte har ek jawab the abdurrashid lone

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now