KHud mein utre aur tughyani se bahar aa gae
ḳhud meñ utre aur tuġhyānī se bāhar aa ga.e
aa ke gahrā.ī meñ ham paanī se bāhar aa ga.e
us kī raunaq meñ bahut sunsān se lagte the ham
shahr se nikle to vīrānī se bāhar aa ga.e
lafz vo jin ko zabāñ tak laane kī himmat na thī
āḳhir ik din merī peshānī se bāhar aa ga.e
dam-ba-ḳhud us husn ko hī dekhte rahte the ham
yuuñ barat TuuTā ki hairānī se bāhar aa ga.e
āstīñ meñ pal rahe the lekin ik din yuuñ huā
saañp aapas kī pareshānī se bāhar aa ga.e
vo ta'alluq ham ko qaid-e-ḳhvāb jaisā thā 'zahīr'
khul ga.iiñ āñkheñ to āsānī se bāhar aa ga.e
KHud mein utre aur tughyani se bahar aa gae
aa ke gahrai mein hum pani se bahar aa gae
us ki raunaq mein bahut sunsan se lagte the hum
shahr se nikle to virani se bahar aa gae
lafz wo jin ko zaban tak lane ki himmat na thi
aaKHir ek din meri peshani se bahar aa gae
dam-ba-KHud us husn ko hi dekhte rahte the hum
yun barat TuTa ki hairani se bahar aa gae
aastin mein pal rahe the lekin ek din yun hua
sanp aapas ki pareshani se bahar aa gae
wo ta'alluq hum ko qaid-e-KHwab jaisa tha 'zahir'
khul gain aankhen to aasani se bahar aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.