KHud mohabbat dard hai aur dard ka darman bhi hai
ḳhud mohabbat dard hai aur dard kā darmāñ bhī hai
hai ye vo mushkil ki mushkil bhī hai aur āsāñ bhī hai
āshiq-e-abru-e-jānāñ āshiq-e-mizhgāñ bhī hai
dil meñ shauq-e-teġh hai zauq-e-lab-e-paikāñ bhī hai
mere ghar ā.eñge vo laayā hai muzhda nāma-bar
ye payām-e-zīst bhī hai maut kā sāmāñ bhī hai
sach batā parvāne kis kī ātish-e-ulfat hai tez
kaun sozinda bhī hai aur kaun ḳhud sozāñ bhī hai
ibtidā mauhūm us kī intihā mādūm hai
ye kitāb-e-umr kā mazmūñ bhī hai unvāñ bhī hai
kyā batā.eñ tum ko ham narḳh-e-matā.a-e-zindagī
ye kabhī behad girāñ hai aur kabhī arzāñ bhī hai
ḳhūgar-e-jaur-e-musalsal ho ga.e qalb-o-jigar
mujh par un kā bhī karam hai ġhair kā ehsāñ bhī hai
chashm-e-jānāñ jān-levā bhī hai aur jāñ-baḳhsh bhī
maut kā baa.is bhī hai aur chashma-e-haivāñ bhī hai
qatra-e-ḳhūñ jo tarāz-e-nok-e-mizhgāñ thā kabhī
ab vahī rangīn-gauhar zīnat-e-dāmāñ bhī hai
rutba-e-ālī hamāre dāġh-e-dil kā dekhiye
rū-kash-e-ḳhurshīd bhī rashk-e-mah-e-tābāñ bhī hai
khīñchtā hai kyoñ mire pahlū se tīr-e-dil-navāz
dil ke bahlāne kā hamdam aur kuchh sāmāñ bhī hai
ye kashish kis kī hai kis kā lutf hai kis kā karam
aaj mahfil meñ kisī kī 'bedil'-e-ḳhush-ḳhvāñ bhī hai
KHud mohabbat dard hai aur dard ka darman bhi hai
hai ye wo mushkil ki mushkil bhi hai aur aasan bhi hai
aashiq-e-abru-e-jaanan aashiq-e-mizhgan bhi hai
dil mein shauq-e-tegh hai zauq-e-lab-e-paikan bhi hai
mere ghar aaenge wo laya hai muzhda nama-bar
ye payam-e-zist bhi hai maut ka saman bhi hai
sach bata parwane kis ki aatish-e-ulfat hai tez
kaun sozinda bhi hai aur kaun KHud sozan bhi hai
ibtida mauhum us ki intiha madum hai
ye kitab-e-umr ka mazmun bhi hai unwan bhi hai
kya bataen tum ko hum narKH-e-mataa-e-zindagi
ye kabhi behad giran hai aur kabhi arzan bhi hai
KHugar-e-jaur-e-musalsal ho gae qalb-o-jigar
mujh par un ka bhi karam hai ghair ka ehsan bhi hai
chashm-e-jaanan jaan-lewa bhi hai aur jaan-baKHsh bhi
maut ka bais bhi hai aur chashma-e-haiwan bhi hai
qatra-e-KHun jo taraaz-e-nok-e-mizhgan tha kabhi
ab wahi rangin-gauhar zinat-e-daman bhi hai
rutba-e-ali hamare dagh-e-dil ka dekhiye
ru-kash-e-KHurshid bhi rashk-e-mah-e-taban bhi hai
khinchta hai kyon mere pahlu se tir-e-dil-nawaz
dil ke bahlane ka hamdam aur kuchh saman bhi hai
ye kashish kis ki hai kis ka lutf hai kis ka karam
aaj mahfil mein kisi ki 'bedil'-e-KHush-KHwan bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.