KHud mujhko mere dast-e-kaman-gir se mila
ḳhud mujh ko mere dast-e-kamāñ-gīr se milā
jo zaḳhm bhī milā hai usī tiir se milā
tujh ko ḳhabar bhī hai mire inkār kā javāb
teġh-o-sinān-o-ḳhanjar-o-shamshīr se milā
gum ho gayā thā maiñ kahīñ dasht-e-vajūd meñ
maiñ apne ism-e-zāt kī tasḳhīr se milā
milne kī kuchh ḳhushī na bichhaḌne kā ḳhauf hai
ai merī jaan tū baḌī tāḳhīr se milā
ai ramz-e-āgahī maiñ tujhe ḳhud pe vā karūñ
vahshat ko mere paañv kī zanjīr se milā
dariyā tamām tishna laboñ kī hai milkiyat
is mumlikat ko pyaas kī jāgīr se milā
jo ḳhvāb merī chashm-e-zarūrat ne kho diyā
vo ḳhvāb mere ḳhvāb kī tā'bīr se milā
'shāhid' mire mizāj kī āshuftagī na dekh
merī udāsiyoñ kā nasab 'mīr' se milā
KHud mujh ko mere dast-e-kaman-gir se mila
jo zaKHm bhi mila hai usi tir se mila
tujh ko KHabar bhi hai mere inkar ka jawab
tegh-o-sinan-o-KHanjar-o-shamshir se mila
gum ho gaya tha main kahin dasht-e-wajud mein
main apne ism-e-zat ki tasKHir se mila
milne ki kuchh KHushi na bichhaDne ka KHauf hai
ai meri jaan tu baDi taKHir se mila
ai ramz-e-agahi main tujhe KHud pe wa karun
wahshat ko mere panw ki zanjir se mila
dariya tamam tishna labon ki hai milkiyat
is mumlikat ko pyas ki jagir se mila
jo KHwab meri chashm-e-zarurat ne kho diya
wo KHwab mere KHwab ki ta'bir se mila
'shahid' mere mizaj ki aashuftagi na dekh
meri udasiyon ka nasab 'mir' se mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.