KHud nazaron pe nazaron ko hansi aati hai
KHud nazaron pe nazaron ko hansi aati hai
Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi
MORE BYAkhgar Mushtaq Raheem Aabadi
Interesting Fact
1967
ḳhud nazāroñ pe nazāroñ ko hañsī aatī hai
bāġhbānoñ pe bahāroñ ko hañsī aatī hai
ab ye kyuuñ zikr-e-bahārāñ pe chaman meñ aksar
phuul to phuul haiñ ḳhāroñ ko hañsī aatī hai
mehr-o-iḳhlās kī duniyā meñ ye kyā baat huī
aaj yāroñ hī pe yāroñ ko hañsī aatī hai
aisī be-jān sī hai mere harīfoñ kī hañsī
jaise tūfāñ pe kināroñ ko hañsī aatī hai
kyā kare aah vo bechāra musāfir jis par
aap kī rāh-guzāroñ ko hañsī aatī hai
koī jab chāñd sitāroñ se ho masrūf-e-suḳhan
kis qadar chāñd sitāroñ ko hañsī aatī hai
ḳhair ho ḳhair mashiyyat ke irādoñ kī qasam
aaj taqdīr ke māroñ ko hañsī aatī hai
haa.e kis moḌ pe aayā hai ab afsāna-e-ġham
mere afsāna-nigāroñ ko hañsī aatī hai
ham haiñ mahrūm-e-masarrat to koī baat nahīñ
ye bhī kyā kam hai sahāroñ ko hañsī aatī hai
gardish-e-vaqt ne kyā phir koī sūrat badlī
yā yūñhī vaqt-guzāroñ ko hañsī aatī hai
shāyad 'aḳhgar' hī kī tauba kī ḳhabar hai yaaro
aaj saaqī ke ishāroñ ko hañsī aatī hai
KHud nazaron pe nazaron ko hansi aati hai
baghbanon pe bahaaron ko hansi aati hai
ab ye kyun zikr-e-bahaaran pe chaman mein aksar
phul to phul hain KHaron ko hansi aati hai
mehr-o-iKHlas ki duniya mein ye kya baat hui
aaj yaron hi pe yaron ko hansi aati hai
aisi be-jaan si hai mere harifon ki hansi
jaise tufan pe kinaron ko hansi aati hai
kya kare aah wo bechaara musafir jis par
aap ki rah-guzaron ko hansi aati hai
koi jab chand sitaron se ho masruf-e-suKHan
kis qadar chand sitaron ko hansi aati hai
KHair ho KHair mashiyyat ke iradon ki qasam
aaj taqdir ke maron ko hansi aati hai
hae kis moD pe aaya hai ab afsana-e-gham
mere afsana-nigaron ko hansi aati hai
hum hain mahrum-e-masarrat to koi baat nahin
ye bhi kya kam hai sahaaron ko hansi aati hai
gardish-e-waqt ne kya phir koi surat badli
ya yunhi waqt-guzaron ko hansi aati hai
shayad 'aKHgar' hi ki tauba ki KHabar hai yaro
aaj saqi ke ishaaron ko hansi aati hai
- wada-e-farda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.