KHud-numai ke liye duniya ne KHud uljha diya
ḳhud-numā.ī ke liye duniyā ne ḳhud uljhā diyā
varna pechīda nahīñ thā zindagī kā mas.ala
maslahat mujh se ba-zid hai lauh-e-bātil par likhā
ghaT rahā hai dil badan zer-o-zabar kā fāsla
is haqīqat se nahīñ haiñ ahl-e-dānish be-ḳhabar
kis tarah se aa rahā hai aane vaalā zalzala
dīda-e-be-nūr ik aalam hai kyā ye jhuuT hai
har taraf phailā huā hai tīrgī kā silsila
us se miltā huuñ to ḳhud par sharm aatī hai 'shamīm'
ik kahāñ itnā burā maiñ vo kahāñ itnā bhalā
KHud-numai ke liye duniya ne KHud uljha diya
warna pechida nahin tha zindagi ka masala
maslahat mujh se ba-zid hai lauh-e-baatil par likha
ghaT raha hai dil badan zer-o-zabar ka fasla
is haqiqat se nahin hain ahl-e-danish be-KHabar
kis tarah se aa raha hai aane wala zalzala
dida-e-be-nur ek aalam hai kya ye jhuT hai
har taraf phaila hua hai tirgi ka silsila
us se milta hun to KHud par sharm aati hai 'shamim'
ek kahan itna bura main wo kahan itna bhala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.