KHud-parasti ka nasha mujhko chaDha hai aaj-kal
ḳhud-parastī kā nasha mujh ko chaḌhā hai āj-kal
shauq tujh sā hone kā mujh ko huā hai āj-kal
kal talak thā jo vafā kī saltanat kā peshvā
shor us kī bevafā.ī kā bapā hai āj-kal
bāġhbāñ tū kuchh savāloñ kī ijāzat de mujhe
kis kī ġhaflat se chaman ujḌā paḌā hai āj-kal
dab ga.ī hai rū-ba-rū qaazī kī chīḳhoñ kī sadā
rahzanoñ ko munsifoñ kā aasrā hai āj-kal
aks terā ek pal bhī aañkh se ojhal na ho
dekh mere ishq kī ye intihā hai āj-kal
ghar banā lo tum 'urūsa' aur kisī duniyā meñ ab
dahr meñ jiine kā matlab hādisa hai āj-kal
KHud-parasti ka nasha mujh ko chaDha hai aaj-kal
shauq tujh sa hone ka mujh ko hua hai aaj-kal
kal talak tha jo wafa ki saltanat ka peshwa
shor us ki bewafai ka bapa hai aaj-kal
baghban tu kuchh sawalon ki ijazat de mujhe
kis ki ghaflat se chaman ujDa paDa hai aaj-kal
dab gai hai ru-ba-ru qazi ki chiKHon ki sada
rahzanon ko munsifon ka aasra hai aaj-kal
aks tera ek pal bhi aankh se ojhal na ho
dekh mere ishq ki ye intiha hai aaj-kal
ghar bana lo tum 'urusa' aur kisi duniya mein ab
dahr mein jine ka matlab hadisa hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.