KHud pe guzre azab likhti hun
ḳhud pe guzre azaab likhtī huuñ
aaj kar ke hisāb likhtī huuñ
bahr-e-dil meñ hai ik sannāTā
aur maiñ iztirāb likhtī huuñ
ḳhud ko zarre se muḳhtasar kar ke
aap ko āftāb likhtī huuñ
jab koī phuul muskurātā hai
us ko apnā shabāb likhtī huuñ
naaz kar kar ke āj-kal ḳhud ko
aap kā intiḳhāb likhtī huuñ
merī achchhā.ī kī sanad ye hai
ḳhud ko sab se ḳharāb likhtī huuñ
un ko koī 'suman' likhe kuchh bhī
maiñ ḳhudā kī kitāb likhtī huuñ
KHud pe guzre azab likhti hun
aaj kar ke hisab likhti hun
bahr-e-dil mein hai ek sannaTa
aur main iztirab likhti hun
KHud ko zarre se muKHtasar kar ke
aap ko aaftab likhti hun
jab koi phul muskuraata hai
us ko apna shabab likhti hun
naz kar kar ke aaj-kal KHud ko
aap ka intiKHab likhti hun
meri achchhai ki sanad ye hai
KHud ko sab se KHarab likhti hun
un ko koi 'suman' likhe kuchh bhi
main KHuda ki kitab likhti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.