KHud pe ilzam dhar gaya hun main
ḳhud pe ilzām dhar gayā huuñ maiñ
kaam mushkil thā kar gayā huuñ maiñ
kaisī dahshat se bhar gayā huuñ maiñ
ḳhvāb meñ jaise Dar gayā huuñ maiñ
jaane kis shai kī hai talāsh mujhe
kū-ba-kū dar-ba-dar gayā huuñ maiñ
mujh ko ab kaise pā sakegā koī
vaqt thā aur guzar gayā huuñ maiñ
mere chāroñ taraf añdherā hai
kyā batā.ūñ kidhar gayā huuñ maiñ
kal bhī kuchh dard kam na thā lekin
aaj to jaise mar gayā huuñ maiñ
ab zamīñ par na jaane kyā hogā
āsmāñ se utar gayā huuñ maiñ
be-ḳhabar hī jahāñ meñ aayā thā
aur yūñhī be-ḳhabar gayā huuñ maiñ
ba.ad muddat ke ḳhud ko yaad aayā
ba.ad muddat ke ghar gayā huuñ maiñ
garche mahdūd thā magar 'shāriq'
shash-jihat meñ bikhar gayā huuñ maiñ
KHud pe ilzam dhar gaya hun main
kaam mushkil tha kar gaya hun main
kaisi dahshat se bhar gaya hun main
KHwab mein jaise Dar gaya hun main
jaane kis shai ki hai talash mujhe
ku-ba-ku dar-ba-dar gaya hun main
mujh ko ab kaise pa sakega koi
waqt tha aur guzar gaya hun main
mere chaaron taraf andhera hai
kya bataun kidhar gaya hun main
kal bhi kuchh dard kam na tha lekin
aaj to jaise mar gaya hun main
ab zamin par na jaane kya hoga
aasman se utar gaya hun main
be-KHabar hi jahan mein aaya tha
aur yunhi be-KHabar gaya hun main
baad muddat ke KHud ko yaad aaya
baad muddat ke ghar gaya hun main
garche mahdud tha magar 'shaariq'
shash-jihat mein bikhar gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.