KHud pi saki na jab to zamin ko pila gai
ḳhud pī sakī na jab to zamīñ ko pilā ga.ī
ik duudh ke gilās ko billī girā ga.ī
bādal dikhā ke āñkhoñ meñ sapne sajā ga.ī
sāvan kī rut bhī gaañv ko ullū banā ga.ī
aa.ī thī mujh ko DhūñDne sūraj kī raushnī
lekin galī ke moḌ pe rasta bhulā ga.ī
kal sub.h thoḌī der mirī aañkh kyā lagī
dhuup aa ke mere gaal pe thappaḌ lagā ga.ī
buzdil havā kabhī na batā.egī dil kī baat
kyā ḳhauf thā ki mere diloñ ko bujhā ga.ī
hote hī bhor gaañv meñ kohrām mach gayā
ik nīl-gā.e sab ke hare khet khā ga.ī
baiThī huī thī jhiil kināre udaas raat
batlā.e kaun kaise yahāñ tak vo aa ga.ī
shoḳhī to us kī dekhiye bāzār meñ 'fahīm'
jab baat kar na paa.ī to unglī dabā ga.ī
KHud pi saki na jab to zamin ko pila gai
ek dudh ke gilas ko billi gira gai
baadal dikha ke aankhon mein sapne saja gai
sawan ki rut bhi ganw ko ullu bana gai
aai thi mujh ko DhunDne suraj ki raushni
lekin gali ke moD pe rasta bhula gai
kal subh thoDi der meri aankh kya lagi
dhup aa ke mere gal pe thappaD laga gai
buzdil hawa kabhi na bataegi dil ki baat
kya KHauf tha ki mere dilon ko bujha gai
hote hi bhor ganw mein kohram mach gaya
ek nil-gae sab ke hare khet kha gai
baiThi hui thi jhil kinare udas raat
batlae kaun kaise yahan tak wo aa gai
shoKHi to us ki dekhiye bazar mein 'fahim'
jab baat kar na pai to ungli daba gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.