KHud rah ke mushkilat mein hal de diya use
ḳhud rah ke mushkilāt meñ hal de diyā use
maiñ vo shajar ḳhizāñ meñ bhī phal de diyā use
motī luTā.e maiñ ne samundar thā jab talak
ab jhiil ho gayā to kañval de diyā use
pathrāv jis kā sheva dil-āzārī jis kā shauq
munsif ḳhudā hai shīsh-mahal de diyā use
vo ik ġharīb mujh se milā ho gayā amiir
maiñ ik faqīr dars-e-amal de diyā use
puurī huī na shart-e-mohabbat to ḳhvāb meñ
bulvāyā aur tāj-mahal de diyā use
us ne kahā ki husn kī tārīf kījiye
ik sher jo thā husn-e-ġhazal de diyā use
ab tā-abad usī kī hukūmat meñ hai jahāñ
sab kuchh ḳhudā ne roz-e-azal de diyā use
'shaidā' bahut ḳhalīq hai kahte haiñ saare log
rab ne mohabbatoñ kā badal de diyā use
KHud rah ke mushkilat mein hal de diya use
main wo shajar KHizan mein bhi phal de diya use
moti luTae main ne samundar tha jab talak
ab jhil ho gaya to kanwal de diya use
pathraw jis ka shewa dil-azari jis ka shauq
munsif KHuda hai shish-mahal de diya use
wo ek gharib mujh se mila ho gaya amir
main ek faqir dars-e-amal de diya use
puri hui na shart-e-mohabbat to KHwab mein
bulwaya aur taj-mahal de diya use
us ne kaha ki husn ki tarif kijiye
ek sher jo tha husn-e-ghazal de diya use
ab ta-abad usi ki hukumat mein hai jahan
sab kuchh KHuda ne roz-e-azal de diya use
'shaida' bahut KHaliq hai kahte hain sare log
rab ne mohabbaton ka badal de diya use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.