KHud sa ek shaKHs hu-ba-hu dekha
ḳhud sā ik shaḳhs hū-ba-hū dekhā
maiñ ne jab us ko rū-barū dekhā
ban gayā ḳhvāb se haqīqat vo
maiñ ne bas kar ke justujū dekhā
laakh dekhe magar kabhī maiñ ne
us ke jaisā na ḳhūb-rū dekhā
ek jaadū hai us kī bātoñ meñ
kaise kartā hai guftugū dekhā
KHud sa ek shaKHs hu-ba-hu dekha
main ne jab us ko ru-baru dekha
ban gaya KHwab se haqiqat wo
main ne bas kar ke justuju dekha
lakh dekhe magar kabhi main ne
us ke jaisa na KHub-ru dekha
ek jadu hai us ki baaton mein
kaise karta hai guftugu dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.