Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud se guzre to qayamat se guzar jaenge hum

Meer Ahmad Naved

KHud se guzre to qayamat se guzar jaenge hum

Meer Ahmad Naved

MORE BYMeer Ahmad Naved

    ḳhud se guzre to qayāmat se guzar jā.eñge ham

    ya.anī har haal hālat se guzar jā.eñge ham

    ālam-e-vus.at-e-imkāñ nazar aa.egā hameñ

    ya.anī har duurī o qurbat se guzar jā.eñge ham

    ḳhatm ho jā.egī sab kashmakash-e-harf-o-adad

    ya.anī har manfī o musbat se guzar jā.eñge ham

    na makāñ hogā vajūd aur na zamāñ hogā adam

    ya.anī har tañgī o vus.at se guzar jā.eñge ham

    ālam-e-hū dil-e-bīnā ko nazar aa.egā

    hasrat o vahshat o hairat se guzar jā.eñge ham

    KHud se guzre to qayamat se guzar jaenge hum

    yani har haal ki haalat se guzar jaenge hum

    aalam-e-wusat-e-imkan nazar aaega hamein

    yani har duri o qurbat se guzar jaenge hum

    KHatm ho jaegi sab kashmakash-e-harf-o-adad

    yani har manfi o musbat se guzar jaenge hum

    na makan hoga wajud aur na zaman hoga adam

    yani har tangi o wusat se guzar jaenge hum

    aalam-e-hu dil-e-bina ko nazar aaega

    hasrat o wahshat o hairat se guzar jaenge hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now