KHud se hai ranj-bayani apni
ḳhud se hai ranj-bayānī apnī
kaan apne haiñ kahānī apnī
roz dīvār pe dastak denā
baat patthar ko sunānī apnī
umr auroñ ko hī raTte guzrī
bhuul baiThā huuñ nishānī apnī
din ko sochoñ kī chitā par jalnā
raat ko raakh uThānī apnī
gul-badan baaġh faqat terā hai
nashsha apnā hai javānī apnī
rū-ba-rū tere burā ban jaanā
ham ko ḳhud ḳhaak uḌānī apnī
maiñ kiye jaatā huuñ apnī bāteñ
vo sunātā hai kahānī apnī
haar kar sulh adū se 'nayyar'
aabrū jhuk ke uThānī apnī
KHud se hai ranj-bayani apni
kan apne hain kahani apni
roz diwar pe dastak dena
baat patthar ko sunani apni
umr auron ko hi raTte guzri
bhul baiTha hun nishani apni
din ko sochon ki chita par jalna
raat ko rakh uThani apni
gul-badan bagh faqat tera hai
nashsha apna hai jawani apni
ru-ba-ru tere bura ban jaana
hum ko KHud KHak uDani apni
main kiye jata hun apni baaten
wo sunata hai kahani apni
haar kar sulh adu se 'nayyar'
aabru jhuk ke uThani apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.