KHud se itna hi aashna hun main
ḳhud se itnā hī āshnā huuñ maiñ
ik kahānī kī ibtidā huuñ maiñ
hiran sone kā to kahāñ hogā
us ke kahne pe chal paḌā huuñ maiñ
sañg nafrat ke to maiñ sah lūñgā
sirf phūloñ se Dar rahā huuñ maiñ
chāñd taare gavāh haiñ is ke
saath un ke jalā bujhā huuñ maiñ
pyaar ke ek bol ke badle
ḳhud ko saste meñ bechtā huuñ maiñ
hāsil-e-zindagī kaho is ko
ḳhud ko kho kar jo pā gayā huuñ maiñ
mujh ko 'tāsīr' sañgsār karo
jo na kahnā thā kah gayā huuñ maiñ
KHud se itna hi aashna hun main
ek kahani ki ibtida hun main
hiran sone ka to kahan hoga
us ke kahne pe chal paDa hun main
sang nafrat ke to main sah lunga
sirf phulon se Dar raha hun main
chand tare gawah hain is ke
sath un ke jala bujha hun main
pyar ke ek bol ke badle
KHud ko saste mein bechta hun main
hasil-e-zindagi kaho is ko
KHud ko kho kar jo pa gaya hun main
mujh ko 'tasir' sangsar karo
jo na kahna tha kah gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.