KHud se jab be-zari ho
ḳhud se jab be-zārī ho
kis se baat tumhārī ho
chāhe mujh se duur raho
merī zimmedārī ho
ek sā mausam lagtā hai
ḳhushī ho yā be-zārī ho
tum bhī bazm meñ ho maujūd
raag bhī phir darbārī ho
dil kā haal chhupā luuñ to
achchhī duniyā-dārī ho
khul ke mujh se baat kare
jis ko kuchh dushvārī ho
ḳhush mat ho ye mumkin hai
aglī terī baarī ho
gila nahīñ us se jis ko
hañsne kī bīmārī ho
KHud se jab be-zari ho
kis se baat tumhaari ho
chahe mujh se dur raho
meri zimmedari ho
ek sa mausam lagta hai
KHushi ho ya be-zari ho
tum bhi bazm mein ho maujud
rag bhi phir darbari ho
dil ka haal chhupa lun to
achchhi duniya-dari ho
khul ke mujh se baat kare
jis ko kuchh dushwari ho
KHush mat ho ye mumkin hai
agli teri bari ho
gila nahin us se jis ko
hansne ki bimari ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.